Wednesday, July 22, 2015

Warts, Iss Skin Problem ke Liye Upay

Symptoms of Warts

• Twacha par rukhi satah ka vikas hona.
• Vese warts apne aap hi vikasit ho kar gayab ho jate hai. Lekin inme se kuch bahut hi pidadayak hote hai.
• Yeh tezi se failte hai aur yeh barso tak bane rahte hai, jinka ilaaj karna jaruri hota hai.

Warts, Inn Tariko se Dur Kijiye Twacha ki Pareshnai ko

Pyaz
• Warts ko khatam karne ke liye pyaz bahut faydemand hota hai. Iske liye ek pyaz ke ras ko nikal lo aur is ras ko niyamit roop se din me ek baar uspar lagaiye.
• Is upay se aap wart ki problem se hamesha ke liye khatam ho jayengi.
Agarbatti
• Wart ko khatam karne ke liye agarbatti ka istemaal kar sakte hai. Iske liye ek agarbatti ko jala le aur iske jale huye gul ko in par laga kar turant hata de.
• Aisa 8 se 10 karne se yeh sukhne lagte hai aur thode hi din me hamesha ke liye chale jate hai. Lekin dhyan rahe ki agarbatti ka isparsh isrf prabhavit hisso par hi hona chahiye.
Aalu
• Home Remedies for Warts ki baat kare to aalu bahut accha upay hai. Aalu ka prayog karne se yeh hamesha ke liye chale jate hai. Iske liye aalu ko chhil kar uski fhak le aur use wart par ragdiye.
• Yeh bahut hi asardar upaye hai, jisse ki yeh pareshani hamesha ke liye chali jati hai.
Apple
• Khatte seb ka juice niyamit roop se lagane se yeh dheere-dheere khatam ho jate hai.
• Is prayog ke result ke liye ise kam se kam din 3 week tak kare. Iske liye khatte seb lekar unka juice lijiye aur usko pratidin kam se kam teen baar jarur lagaiye.
Sirka
• Sirka ko istemaal din me 2 baar karne se warts ki pareshani hamesha ke liye khatam ho jati hai.
• Iske prayog ke liye pahle chehre ko acche se dhole aur sirka ko cotton me bhigo kar ragdiye tatha 10 minutes ke baad garam pani se muh ko dho lijiye.
Hara Dhaniya
• Iss pareshani se nijat pane ke liye hara dhaniya ek bahut accha upay hai. Is upay ko karne ke liye hare dhaniye ko piskar uska paste bana le aur ise rojana lagaye.
• Yeh bahut sadharan aur accha tarika hai iss problem se bachne ke liye.
Aloe Vera
• Iss pareshani se jaldi nijaat pane ke liye aap aloe vera jel ka bhi prayog kar sakte hai.
• Agar aapke ghar par aloe vera hai, to uska ek chhota sa tukda katiye aur taza jel lagaiye. Yeh ek bahut laabhkari upaye hai.
Lahsun
• Lahsun ka prayog warts par karne se yeh hamesha ke liye jhad jate hai.
• Iske liye raat ko sone pahle lahsun ki kali ko chhil kar uska paste bna lo aur usme wart par lag kar so jao tatha subah uthkar ise saaf kar lo.
• To hum bol sakte hai ki yeh upaye ek bahut aacha Home Remedies For Warts.
Anjir
• Anjir ke istemaal se 3 se 4 week me hi aap is pareshani se nijat pa sakte hai.
• Is prayog ke liye taza anjir le. Ise masal kar iski kuch matar ko prabhavit jagah par lagaiye. Aur 30 minutes tak ise laga rahne de aur thodi der baad gungune pani se se dhole.
Baking Soda aur Arandi ka Tel
• Baking soda aur arandi ke tel ko milakar istemaal karne se warts ki problem hamesha ke liye khatam ho jati hai. Iss upay ko karne ke liye baking soda ko arandi ke tel ko milakar paste bana lijiye.
• Ab is paste ko roz raat me sote waqt lagaiye tatha subah uthkar ise saaf kar lijiye. Is upay se aapko jaldi hi result milenge.
Kela ka Chhilka
• Banana ke chhilke ko andar ki taraf se warts par rakh kar us par patti bandh le.
• Aisa din me 2 baar kare aur lagatar karte rahe jab tak ki aap is problem se chutkara nahi mil jata hai.
Papita ka Chhilka
• Papite ke chhilko ko prabhvati hisse par lagane se aapko bahut jaldi aaram milenga.
• Saath yeh pareshani aapko phir kabhi bhi nahi hogi.
Kaccha Dudh aur Lahasun
• Dugne laabh ke liye aap kaccha dudh aur lahasun ko bhi laga sakte hai.
• Is prayog ke liye kaccha dudh aur lahsun ka paste banakar usko prabhavit hisse par lagaiye aur us par patti bhand lijiye tatha is payti ko ek week tak bnadhe rahne de.
• Ek week ke baad patti ko kholene par aap payenge ki warts gayab ho chuke hai.

No comments:

Post a Comment